Hindu dharmshatr va sanskriti main muhuruth ko sadaiv se bada mahatv prrapt hai.Shashtron main ullekh aata hai ki sahi samay sahi muhurath dekh kar kiya gaya kary sada phalit hota hai.jatak ki kundali ka adhyan kar eak Ganak dwara uske liye sahi samay ka nirnay kiya jata hai.Kahte hain ki Pandavon ke sabse chote bhai Sahdev Muhurath Shashtr ke bade vidwaan gyata the.Mahabharat ke yudh se pahle Duryodhan ke pita Dristrashtr ne use Sahdev ke paas yudh ke liye ,apna subh Muhurath nikalne bheja.Sahdev ne eak Ganak ka farz nibhate hue Duryodhan ko yudh ka subh Muhurath bata diya aur kaha ki is samay kal main yudh suru karne par tumhari vijay nischit hai.yudh ke din ye baat Bhagwan Krishn ko gyaat ho gayi.Vo swayam Sahdev ki gannao par purn visvas karte the.Attah Duryodhan ke subh Muhurath ko taalne ke liye unhone yudh ke maidaan main Arjun ko Geeta ka gyan dena prarambh kiya .Chali to vo sada se hi the.Duryodhan naasamajh ye nahi jaan paya ki uske saath chal ho raha hai.wo us sare din ko hi apne liye subh maane baitha tha .Jabki Muhurath din ke eak vishisht samay kal ko kaha jata hai na ki sare din ko.Itni katha karne ka arth bas yeh hai ki anpne subh va mahatvapurn karya sada Muhurath dekh kar karen,sada laabh hi hoga.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें